haq hai use, rooth jaana uski fitrat thahri
jis din main rootha mere dost qayamat hogi
khamoshiyon ki jubaan me hi jo karni hain baatein
kyon karein fikr ki kitni dooriyaan hain darmiyaan?
dhoondh leta hoon main ab bhi use, mukhoton ki is bheed me
kitne bhi badal le chehre, hai wo shakhsh jaana pahchana sa
har kadam pe mil jaate hain yahaan guzre kal ke saaye
gar chhuo to bhula denge ki safar pe nikle kyon the
mushkil se jugaade the kuchh lamhe tanhayi ke
inme bhi teri yaad ke shor ne sone na diya
No comments:
Post a Comment