Friday, June 12, 2015

Publish on Demand Service in India

Just to keep you updated that I've started an online publish on demand service named Bookmozo

Monday, October 1, 2012

snapshot

fetish obsession greatness greed
dare-devilry attention need
hope fate religion lucky-charms
friends relatives society norms
self others jealousy greater-good
politics inflation scams neighborhood
career status satisfaction pride
love creativity achievements bride
lust food money and kind
tag cloud of a human mind

Friday, September 28, 2012

kuchh ankahee si...


haq hai use, rooth jaana uski fitrat thahri
jis din main rootha mere dost qayamat hogi

khamoshiyon ki jubaan me hi jo karni hain baatein
kyon karein fikr ki kitni dooriyaan hain darmiyaan?

dhoondh leta hoon main ab bhi use, mukhoton ki is bheed me
kitne bhi badal le chehre, hai wo shakhsh jaana pahchana sa

har kadam pe mil jaate hain yahaan guzre kal ke saaye
gar chhuo to bhula denge ki safar pe nikle kyon the

mushkil se jugaade the kuchh lamhe tanhayi ke
inme bhi teri yaad ke shor ne sone na diya

Monday, January 9, 2012

Bhool Ja

Aagaaz hua hai ek naye saal ka

Jo guzar chuka hai wo saal bhool ja


Anna maange ann ann ka hisaab

Laaloo maange quota behisaab

2 saal baad hain agle chunaav

Pichhle kiye the wo vaade bhool ja


Dushman se gar jung chhidi hai

Seema par bhi top khadi hai

Nahi chali to shaeedon ko yaad kar

Chal gayi to Italian ghotala bhool ja


Kalmaadi ban ke baitha tha raja

Saath me bajta kanimozhi ka baaja

2 saal aur dekh le tu inka tamasha

Swiss bank me kiska hai khaata bhool ja


Parivaar ka haath hi deta hai sahara

Mazboori me bana hai VIP bechara

Rahul ke pita ke balidaan ko yaad kar

Diggi ki ghiggi ka raag bhool ja


Occupy ho rahi duniya ki sadkein

Takhta palat rahi janta lad lad ke

Aakash ke patal pe tu khel angry birds

Reservation ne lagayi thi wo aag bhool ja

This explains it all

It would've been easy to notice had every religion not been telling us otherwise. It was so simple that we never even tried to believe it. But once I thought about it, it was impossible to ignore for me.

God is a researcher.

Now, if God is a researcher then the world must be an experiment. Since, a researcher keeps on experimenting unless (s)he gets the desired solution, this also means he himself is unaware of the right solution. And, in order to achieve the desired result, he will iterate through the usual procedure:

  1. Set-up a test condition
  2. Conduct a series of experiments
  3. Note down the results
  4. Clean-up

Now, perhaps every religion captured these steps rightly as Genesis, Evolution, Judgment day, andDoomsday. However, while they were been right about linking it to Karma (as that would be the behavioral observation for God), they were largely wrong about the destiny. The only destiny possible here is that of doom. Apart from that, even God would be unaware of what shall follow next, he is merely observing. In fact, predestining things would interfere with the experiment itself. So, basically it shall come down to Karma only. And, accordingly it should be obvious that while any misdeeds will have negative social implications, it may well be beneficial to the perpetrators while they are in the experiment.

In fact, this also explains reincarnation and life-death cycle. God is just experimenting to find out what set of initial conditions lead to an ideal conduct by all individuals, and how long can it be sustained. So, if your conduct does not add to variety then you will be pulled out of the next set of experiments (while God may still re-induct you to see whether what works right for others have any negative impact on you or not).

Now, this is not a one-time set-up. Every time the world settles down, the researcher (God) must shake it up a bit to break the inertia. It may be in form of natural disasters or otherwise. However, the assumption here is that while God is almighty, he in not all-knowing. And on the same lines asWatchmen, we may ask: who created the creator? So, we are not rejecting a possibility of having multiple levels of world. A higher level may exist, where God himself is a citizen, and which has been created by a meta-God (let's say).

I would welcome any questions, and more importantly scenarios which prove that the aforementioned is impossible.

...

kahin kuchh kho gaya hai
shaayad kuchh apna sa
khuli aankhon se dekha ho
aisa ek sapna sa
dhoondhna to hai magar
kya hai wo nahi pata
tum hi de do kuchh khabar
aakhir wo tumhara hi to tha...

Fir se...

aankhon ke aaine me
ye kaun rah raha hai
dil ki aawaaz sun le
ye kaun kah raha hai
jhoothi teri baatein saari
jhoothi ye muskaan hai
chhup ke sabse rota hai tu
maayoos yun hota hai kyun
teri hi ye zameen hai
aasmaan bhi to hai tera
raat ye guzar jaane de
aayega kal din fir ek naya...


Lamhe..

kat jaate hain ye lamhe un lamho ki yaad me
jo lamhe kabhi gujre the in lamho ke intezaar me...

More lines

Extending another song: (apni marzi se kahaan apne...)
aaj fir unki yaad besabab aayi hoti
aankhon se bahti boondon me ban ke wo moti
fir kisi gair ko na koi thikana milta
saans bhi jaise waqt ke saath tham gayi hoti
aise hi mod ke ajnabee se rahguzar hum hain
rukh hawaon ka jidhar ka hai udhar ke hum hain…

Apne Paraye
raah bhar hum se judte rahe tanhaaiyon ke saaye
kuchh hum na hue apne, kuchh wo ho gaye paraye…

Atyachaar (Get lost :P )
band karo ye sannate ka shor
door le chalo is tanhayee ki bheed se
sahan nahi hoti in dushmanon ki yaari
dhoondh lo ki main ab gum nahi paata

Bebasi
zamane ka aalam bada bebaseen hai
kabhi isse door main ja nahi pata
laga ke baitha hai mere dil pe pahra
main khud ko ameer yun bata nahi pata

Khbaab
ashkon ki gahrayi me doobte hue
ek dariya ko dekha tha
aasmaan se samandar tak faile hue
ek sahra ko dekha tha
na jaana tha raasta
na paayi thi manzil
bas ek jhalak dikhlayi di teri paayjeb ki jhilmil
hawa ka bhi shor nahi
sirf ek baadal ka saaya tha
kaise khud ko dilayein yakeen
ki milne tu aaya tha...

Yaadein
dhoop me chalte hue saaye ko dhoondhna
sab theek hai ye kahkar dil ko bahlana
muskurana dekhkar kisi bachhe ki hansi
aur bhool jaana wo ek cheez
nikle the kabhi jiski talash me…