Monday, January 9, 2012

...

kahin kuchh kho gaya hai
shaayad kuchh apna sa
khuli aankhon se dekha ho
aisa ek sapna sa
dhoondhna to hai magar
kya hai wo nahi pata
tum hi de do kuchh khabar
aakhir wo tumhara hi to tha...

Fir se...

aankhon ke aaine me
ye kaun rah raha hai
dil ki aawaaz sun le
ye kaun kah raha hai
jhoothi teri baatein saari
jhoothi ye muskaan hai
chhup ke sabse rota hai tu
maayoos yun hota hai kyun
teri hi ye zameen hai
aasmaan bhi to hai tera
raat ye guzar jaane de
aayega kal din fir ek naya...


Lamhe..

kat jaate hain ye lamhe un lamho ki yaad me
jo lamhe kabhi gujre the in lamho ke intezaar me...

No comments: