Monday, January 9, 2012

More lines

Extending another song: (apni marzi se kahaan apne...)
aaj fir unki yaad besabab aayi hoti
aankhon se bahti boondon me ban ke wo moti
fir kisi gair ko na koi thikana milta
saans bhi jaise waqt ke saath tham gayi hoti
aise hi mod ke ajnabee se rahguzar hum hain
rukh hawaon ka jidhar ka hai udhar ke hum hain…

Apne Paraye
raah bhar hum se judte rahe tanhaaiyon ke saaye
kuchh hum na hue apne, kuchh wo ho gaye paraye…

Atyachaar (Get lost :P )
band karo ye sannate ka shor
door le chalo is tanhayee ki bheed se
sahan nahi hoti in dushmanon ki yaari
dhoondh lo ki main ab gum nahi paata

Bebasi
zamane ka aalam bada bebaseen hai
kabhi isse door main ja nahi pata
laga ke baitha hai mere dil pe pahra
main khud ko ameer yun bata nahi pata

Khbaab
ashkon ki gahrayi me doobte hue
ek dariya ko dekha tha
aasmaan se samandar tak faile hue
ek sahra ko dekha tha
na jaana tha raasta
na paayi thi manzil
bas ek jhalak dikhlayi di teri paayjeb ki jhilmil
hawa ka bhi shor nahi
sirf ek baadal ka saaya tha
kaise khud ko dilayein yakeen
ki milne tu aaya tha...

Yaadein
dhoop me chalte hue saaye ko dhoondhna
sab theek hai ye kahkar dil ko bahlana
muskurana dekhkar kisi bachhe ki hansi
aur bhool jaana wo ek cheez
nikle the kabhi jiski talash me…


No comments: